kyaa paaya humne duniya me aa kar,
lipte hue hain ghunaaho me hum, sisak rahi hai zindagi
kya huwa kyon hum bhul gaye Insaaniyat ko
Pahen liya hai farebon ka chola, sisak rahi hai zindagi
Kyon tarpaate ho EHSAAS RUH ko apne
Wah bhechaari machal rahi hai, sisak rahi hai zindagi
Kuchh socho kuchh yaad karo bhul gaye ho jo FArz yaaron
Kuch to sudhaaro khudko yaaron, sisak rahi hai zindagi
Bhaaeechara bechara ro raha hai
Khun beh rahi hai aankhon se uske, sisak rahi hai zindagi
Zekhm pe uske merhm to rakho,kuch to hoga tumhare paas
Talaash karo nange nahi ho insaniyat me tum, sisak rahi hai zindagi
Dusron ko bharose kab tak rahoge EHSSAS
Khud ko bhi to tayyaar karo, sisak rahi hai zindagi
Aankhon se apne nafrat ko nikaalon,khud apni mishaal bano
baanton khusi ko apne, gham ki parwaah na kar, sisak rahi hai zindagi
Tumhaari zarurat hai is duniya ko yaaron
Ro rahi hai bahut si aankhen, sisak rahi hai zindagi
Haanth barhaaon gaalon tak unke
Kuch unke yaar madadgaar gaar bano, sisak rahi hai zindagi
Ek fariyaad hai is naacheej ki tumse
Nefrat chhoro aur pyaar karo, sisak rahi hai zindagi
Ro ro kar behaal hue jo kuchh unki parwaah karo
Kuchh nange hain talaash me tumhaare
kuch bhuke hain dhund rahe, sisak rahi hai zindagi…!!!
View Comments
Thanx
nice post
sites look at this site important link go to my site he said resource